Sar e taaq e ja'an na chirag hai,pas e baam shab na sahar koi
ajab aik arsa e daraz hai,na guman hai na khabar koi
Nahin ab to koi malal bhi,kisi wapsi ka khayal bhi
ghum e bekasi ne mita diya,mere dil main tha bhi agar koi
Teri Berukhi k dayar main ghani teergi k hisar main
jalay kis tarah se chirag e ja'an karay kis taraf ko safar koi
Katay waqt chahay azaab main kisi khwaab main ya saraab main
jo nazar se duur nikal gaya ussay yaad karta hai har koi